Mat Ruth Tu Zindagi Se..
Ae musafir ye duniya nahi hai teri,
Phir kyu tu karta hai itni bhaaga daudi?
Chaar paise kamane me yeh bhul jaata hai,
Apno ka ehsaas rupyo se nahi aata hai..
Waqt ki Raftaar se khud jud jaata hai,
Esa waqt kya kaam ka jo tere hone ka ehsaas bhula jaata hai?
Zara ruk ja, Zara thehar jaa,
Is chachal hawaa me tu bhi Leher jaa..
Mehsus kar apne aap ko in khaamosh fizaa me,
payga apna astitva jo gum gaya tha is khizaa me..
Samandar ki lehro ke sath tu bhi ucchal jaa,
Dubti kashti ke bhay se thoda sambhal jaa..
Banaale is falsafe ko apni bandagi,
Kahi dubte suraj ke sath naa dub jaaye teri ye Zindagii..